Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwaja Dawud Tai

 

Rahmatullah Alayh

 

Aa p ka poora naam Hazrat Abu Sulaiman Dawud bin Naseer Tai Rahmatullah Alayh  hai. Aap mashaiykh aur ahal e tasawuf  ke sardaro mein they. Aap ki wiladat ba Saadat 21 Sifar 47 Hijri ko Shaam mein hui aap ka shumaar Imam Abu Haneefa Rahmatullah Alayh  ke qabil shagrdon mein hota tha. Jab kabhi Imam Mohammad aur Imam Abu Yousuf mein kisi maslay par ikhtilaaf peda ho jata to aap hi saalis qarar paate they .

Rivayet hai kay aik majlis mein kisi nooh khwan ne aap ke samnay yeh shear parha .

بای خدیک نبدی البلا         وبای عنیک ماذا سالا

Kon sa chehra khaak mein nahi mila aur kon si aankhh zameen par nahi bahi

Yeh shear sun kar aap be chain ho gaye aur isi tahayur ki haalat mein Imam Abu Haneefa Ajmi Rahmatullah Alayh ke madrasay mein ja phonche. Yeh haalat dekh kar Imam Abu Haneefa Ajmi Rahmatullah Alayh ne poocha kya majaarah hai. Aap ne majaarah bayan kya aur bataya kay  ab mera dil is duniya se sard ho gaya hai Hazimam Abu Haneefa Ajmi Rahmatullah Alayh ne farmaya mubarak ho tum Allah ke ho gaye ho .

Is ke baad aap Hazrat Habib Ajmi Rahmatullah Alayh ki khidmat mein hazar hue aur apni murad ko puhanche 75 Hijri mein Hazrat Habib Ajmi Rahmatullah Alayh ne aap ko Khirqah khilafat se nawaza .

Aap ko apne waalid ke virsa mein se bees dinar miley they. Yeh bees dinar aap ne apni umar ke baqaya saloon mein kharch kiye. Aap farmaya karte they mujhe itna hi kaafi hai. Aap hama waqt Khuda ki yaad mein mashgool rehtay they. Basa auqaat rootti ka tukra pani mein bigho letay aur khatay. Aik dafaa Khalifa Haroon al Rashid aap ke Dar e Aqdes par haazir huwa aur dinar paish kiye lekin aap ne qubool nah farmaiye .

1 shakhs aap ki khadmat mein haazir huwa  aur arz ki mujhe koi nasiyaat kijiyej aap ne farmaya apni zabaan ki poori hifazat rakh aur bela zaroorat baat nah kar, tanhai inkhtiyaar kar aur  agar mumkin ho to logon se dil nah laga. Hazrat Maroof  Karkhi Ajmi Rahmatullah Alayh farmatay hain kay mein ne Hazrat Dawud Tai Ajmi Rahmatullah Alayh  se barh kar duniya se be zaar  kisi ko nahi dekha. Duniya aur ahle  duniya un ki nazron mein heech they .

Aap 19 Ziqadah 162 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Aik doosri rivayet ke mutabiq aap 8  Rabiey al-Awwal 165 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Aap ka mazaar  e Aqdes Bghdad mein hai .